Pakistani Bloggers
Previous • Next
Random • List All
• Join •
CrickRock Webrings
Rambling on: May 26, 2008

Monday, May 26, 2008

May nay us say phir kaha

manpreet, here you go

main ne us se ye kaha
ye jo das crore hain
jehl ka nichor hain
inki fikr so gaee
har umeed ki kiran
zulmaton me kho gaee
ye khabar darust hai
inki mot ho gai

bay shaoor log hain
zindagi ka rog hain
aur tere paas hai inke dard ki dawa
me ne us se ye kaha

tu khuda ka noor hai
akl hai, shaoor hai
qaum tere saath hai
tere hi wajood se
mulk ki nijaat hai
tu hai mehr-e-subh-e-nau
tere baad raat hai
bolte jo chand hain
sab ye shar pasand hain
inki khainch le zabaan
inka ghoont de gala
me ne us se ye kaha
me ne us se ye kaha

jin ko tha zaban pe naaz
chup hain wo zaban daraaz
chain hai samaaj me
bemisaal fark hai
kal me aur aaj me
apne kharch par hain log
kaid tere raaj me
me ne us se ye kaha
me ne us se ye kaha

cheen apna yar hai
us pe jan nisar hai
par wahan jo hai nizaam
us taraf na jaayio
us ko door se salaam
das crore ye gadhe
jin ka naam hai awaam
kia banain ge hukmaran
tu!, tu!, tu! yaqeen hai ye gumaan
apni to dua hai ye
sadr tu rahe sada
me ne us se ye kaha
me ne us se ye kaha

Another link worth checking out it

http://www.pakstop.com/pmforums/showthread.php?t=72990
http://sonyarehman.wordpress.com/